Aasman pe jitne taare hain
Aasman pe jitne taare hain,
Ankhon mein jitne ishare hain,
Aamardar k jitne kinare hain,
Utne hi screw dheele tumhare hain
Aasman pe jitne taare hain,
Ankhon mein jitne ishare hain,
Aamardar k jitne kinare hain,
Utne hi screw dheele tumhare hain
Tu kahe to chaand taare tod du, Tu kahe to bandh darwaaje khol du, Tu kahe to yeh duniya chhod du, Tu ek baar haske to dekh mere dost, Tere saare gande daanton ko tod du.
Dil ka ashiyan hum nahi sajate, Bagon me phool hum nahin khilate, Humari ek pasand se toot jayenge hazaron dil, Bas Is liye hum girlfriend nahin banate.
Har nazar ko ek nazar ki talash hai, Har chehre mein kuchh to ehsah hai, Aapse dosti hum yun hi nahi kar baithe, Kya karen hamari pasand hi kuchh KHAAS hai.
Ansoon tere nikle aur aankhein meri ho, Dil tera dhadke aur dhadkane meri ho, Khuda kare hamaari dosti itni gehri ho, Ki naukri tum karo aur salary meri ho….
Gori paan na khaya karo, honthon pe laali aati hai, Gori paan na khaya karo, honthon pe laali aati hai, By God, tera wazan dekh ke meri jaan nikal jaati hai.
Hum aap ko dekhna chahte hain, Aap se milna chahte hain, Par ye log bahut zalim hain, Mujhe aap se milne nahi dete, Kehte hain “zoo bandh hai, kal ana”.