Hothon se jo chhoo liya
Hothon se jo chhoo liya,
Uska ehsaas ab tak hai,
Aankhe nam hain, aur sanso mein aag ab tak hai,
Aur kyo na ho… Khayi Bhi to ‘HARI Mirchi…’ hai
Hothon se jo chhoo liya,
Uska ehsaas ab tak hai,
Aankhe nam hain, aur sanso mein aag ab tak hai,
Aur kyo na ho… Khayi Bhi to ‘HARI Mirchi…’ hai
Arz Kiya hai, Naa hame zaroorat hai sitaron ki, Naa hame zaroorat hai faltu yaaron ki, Bas Ek dost chahiye aapke jaisa, Jo Laga de watt Hazaron ki.
Tere pyaar main kitna intezaar kiya, Tere pyaar main kitna intezaar kiya. Aur uss intezaar mein na jane kitno se pyaar kiya.
Kadam kadam pe hawa ki aahat ka dhyan rakhna, Mushkil samay mein bhi iss dost ko yaad rakhna. Hamari yaadon ki khushboo zaroor aayegi, Tum bus apni naak saaf rakhna.
Chhup gaya badli mein jaake, Chaand bhi sharma gaya. Chhup gaya badli mein jaake, Chaand bhi sharma gaya. Aur aapko dekha to, Bhooton ko paseena aa gaya.
Tere khoobsurat aankhon mein aansoo achche nahin lagte, Chaahe jitnaa bhi roye lekin kabhi sachche nahin lagte.
Chiragon mein agar noor na hota, To Tanha dil itna majbur na hota……….. Kasam se hum aapse milne zarur aate, Agar Aapka Aashiyana itni door na hota……